Groww App Se Paise Kaise Kamaye Daily 2000/- HOW TO EARN MONEY FROM GROWW TRADING APP

Groww app se paise kaise kamaye (Groww app से पैसे कैसे कमाए) ya kis tarah se groww app ko use karke daily 1000 se 2000 rupees kama sakte he. Agar aap bhi janna chahte ho to is article ko atse se read kariye aur samaj lijiye taaki aap bhi jansake grow app ko kaise use kare aur grow app se paise kaise kamaye.
Groww ek trading application he jahapar aap stocks, gold, mutual fund, option and futures me paise invest kar sakte ho. Intraday Trading ya refer karke bhi daily good amount of money earn kar sakre ho.
Agar aap stock market ke baare me jante he to aapko sab pata hi hoga. Lekin agar aap stock market me beginner ho to aap stock market me invest karne se pehele thora knowledge gain kar lijiye aur small amount of money se investment suru karna.
Groww app se paise kamane ke liye aapka Groww app me ek demat account hona jaruri he. agar aapka groww app me ek activate demat account he to thik he agar aap ka grow app me demat account nehi he to aap ek demat account create kar lijiye. Agar aapko groww app me demat account create karne me help chahiye to aap niche diye gaye link par click karke grow app me account create karne ke step by step tutorial dekh sakte he . Groww app me account opening free he.
OPEN FREE DEMAT ACCOUNT ON GROWW & GET YOUR 100/- RS
Jaise ki pehele bata hoi suka hu ki grow app ek stock trading platform he isliye isme currency trading ka function abhi uplabdh nehi he.
Groww app se paise kaise kamaye 6 tarike-
- Stocks me invest karke
- Mutual fund me invest karke
- Fixed deposits karke
- Options and future me trading karke
- Stocks me intraday trading karke ya option trading karke
- Grow app ko apne dosto ke saath Refer karke
Stock me invest karke Groww app se paise kamaye
Groww app se paise kamane ka one of the good option he stocks me invest karna. Jab aap Groww app me ya kisi bhi trading platform me demat account banayenge to stock investing karke paise kamana ek common option he. Aapko stock me invest karne se pehele kuch din ya mahine stock market ke bare me jaan lena chahiye. Agar aapko stock market ke bare me kuch bhi jaankari nehi he phir bhi aap stock market me invest karenge to aapka paisa loss bhi ho sakta he. Isiliye kuch din stock market ke bare me sikh lijiye aur phir aap isme invest kariye.
Jab bhi aap soch le ki stock market me invest karne ka to mera recommendation rahega ki aap badi badi companies ke stocks me invest kare taaki aapka loss na ho. Stock market me aise bhi bohot saare stocks hote he jiska price bohot kam hota he waisi stocks ko penny stocks kaha jata he. Koi bhi beginner person first time penny stocks ke taraf bohot attaract hote he lekin penny stocks me invest karna bohot hi high risk he. Usme aapka investment amount loss bhi ho sakta he. Lekin bari companies me aisa nehi hota he.
Bari aur fundamentally strong companies me invest karna bohot hi safe hota he. Fundamentally strong companies ki stocks ki price long time me upar hi jata he agar aap sahi time pe invest kare to. Agar aap ek baar me hi invest karna chahte he to aap all time high me invest na karke kuch din wait karke jab thora price low hoga tab kharidna sahi rahega.
Agar aap thora jyada amount invest karna chahte he to aap monthly SIP bhi kar sakte he. Monthly ya low price me thora thora invest karna ek bohot atsa strategy he. Sabhi expert investor SIP karke hi invest karte he. Kuch Investor har baar price drop hone par thora thora invest karte he aur price jyada hone par ya desired time period ke baad stocks sell karke profit earn karte he. Waise to aap good companies me investment karne ke baad 1 year ya ussse bhi jyada time ke liye invest karne sahi rehta he.
Stock Investing karte time aap alag alag sector ki Good fundamental wali kuch stocks me invest karna sahi hota he. Apne Investment capital ko alag alag sector ki alag alag companies ki stocks me invest karne me aapka profit hone ka chance high hota he aur loss hone ka chance kam hota he. Agar desh me koi negative situation hota to Stock market me bhi iska asar parta he. Bad situation me kuch sectors ki stocks ka price gir jata he to kuch sector ki stocks upar uth jayega isiliye apne Investment amount ko alag alag sector ki stocks me diversify karke rakhna ek risk kam karne wala strategy he.
Earn Money By Investing in mutual fund
Groww app se paise kamane ka ek tarika mutual fund bhi he. Agar aap stock market ke bare me jyada nehi jante he ya apne capital amount ko kahi safely Invest karke ek good return chahte he to Mutual Fund me invest karna ek good option hota he. Stocks ki tarah hi Mutual fund bhi bohot saare hote he. Agar aap mutual fund me invest karna chahte he to bhi aapko mutual fund ki kuch knowledge lena sahi rahega.
How Mutual fund works
Mutual fund me bhi stock investing ke dwara hi aapko profit diya jata he. Stocks me jaise aap khud good companies ke stocks ko analyse karke invest karte he thik waise hi aap jis bhi Mutual fund me invest karte he us company ke Expert Investor khud aapke paise ko alag alag good stocks me invest karte he.
Agar aapka stock market ke bare me knowledge ya confidence nehi he aur aap chahte he ki koi Expert Investor aapke paise ko manage karke invest karke aapko ek stable percent profit karke de to aap Mutual fund me invest kar sakte he. Groww app me hi aapko saare mutual fund mill jayega usme se ek good Mutual fund me aap Groww app me hi invest kar sakte he. Mutual fund me bhi aap SIP kar sakte he.
Fixed Deposit karke (FD) Groww app se paise kamaye
FD ke bare me to aap me se lagbhag saare loog jante hi honge. Kuch saal pehele tak sirf Banks me hi FD kia jaa sakta tha lekin aab Groww app me bhi Fixed Deposit (FD) karne ka provision diya gaya he. Ab aap bina bank jaye Groww app me hi apne mobile, laptop, ya pc se apne paise ko Fixed Deposit (FD) kar sakte he aur apne invested amount par 5% to 6% annual return le sakte he.
Options and future me trading karke paise kamaye
Future and Option trading Stock investing ki tarah hi he likin isme kuch chije alag he. Stocks buy karke aap jitney chahe utne din ya saal rakh sakte he aur jab chahe sell kar sakte he lekin Option and Future me aisa nehi hota. Options me weekly aur Future me monthly expiry day hota he. Options me Call and Put buy or sell kia jata he aur expiry day end hone se pehele hi profit or loss book karna parta he. Options and Future trading thora Critical hota he. Agar aap chahte he ki Option me trading kare to aapko Options ke bare me atse se sikhna hoga aur dhire dhire expiriance gain karna hoga.
Option and future trading me trade karna bohot hi high risk aur high rewarding he. Isme aapka Invested amount kuch hi minute me loss bhi ho sakta he aur double, triple, ya 10x bhi ho sakta he. isiliye aapko iske bare me jitna jyada ho sake knowledge gain karne ke baad hi try karna chahiye. Jab bhi aap first time Option me trading kare to greedy na hokar aapke total capital amount ka sirf thorI sI hisse se hi trading karke dekhe kyuki isme profit karna hard aur loss karna easy he.
Research se pata chala he ki 90% beginner Option trading me first 1 month me hi saare amount loss karte he. Isiliye aap jyada greedy na hokar sirf learning purpose se kam amount se hi trading kare taaki loss hone ke baad bhi aapka bohot jyada loss na ho jaye.
Option trading ya stock investing sikhne ke liye aapko first paper me likh kar practice karna chahiye. Paper trading ke liye bohot saare paper trading app ya websites bhi internet par free me available he. Paper trading platforms me aapko fake money diya jayega jisse aap trading or investing practice kar payenge. Paper trading platforms sirf simulator hota he isme aap jitney bhi profit ya loss karenge wo saab fake money ka hoga isme aapke real demat account me profit ya loss nehi hoga isiliye ye bilkul safe he.
Options me bohot saare strategies ke through loss ko kam kia jata he. Us strategies ko sikh kar paper trading karke try karne ke baad hi aap real trading kare. Option trading me profit bhi stock investing ke comparison me bohot kam time me bohot jyada hota he. Aajkal bohot saare aise bhi loog he jo Future and option trading ko hi as a career lekar hi bohot saare paise earn kar rahe he.
Stocks me intraday trading karke Groww app se paise kamaye
Groww app ke dwara Stocks me intraday trading karke bhi har roz jitney chahe utne paise kama sakte he. Intraday trading me aapko ek din ke andar hi stock buy aur sell dono karna hoga. Intraday trading me aapko 5x margin benefits bhi milta he jo bohot hi beneficial he. Intraday trading me bhi aapko knowledge gain karna both jaruri he.
Intraday trading me aapko koi bhi fundamentally strong companies ke stocks jisme Intraday karne ka feature available he usme agar aapko lagta he ki price next kuch minute me upar jayega to aap apne limit ke hisab se kuch stocks intraday me buy kar le aur jab bhi price upar jaye to aap sell karke profit kar sakte he.
Intraday me aap pehele sell karke baad me buy bhi kar sakte he. Agar aap ko lagta he kisi stock ka price current price se kam hone wala he to aap bina buy kie hi pehele us stock ko sell karke jab bhi price kam hoga tab buy karke profit kama sakte he.
Intraday trading me aap 5x margin benefits ka bhi pura istemaal kar sakte he. Agar aap ke paas 10 k rupees he to aap 5x margin ke madad se 10×5=50k rupees ka stock trading kar sakenge.
Intraday trading me aapko ek hi din ke andar deal complete karna hoga. Agar aap kabhi kisi stock ko intraday ke liye buy karke us din market close hone tak sell nehi karte ho to market close hone ke baad aapko wo stock delivery kar diya jayega. Delivery me aap jaise normal investing ke liye stock buy karte he waise hi apne portfolio me dikhayega.
Groww app ko apne dosto ke saath Refer karke paise kamaye
Groww app ko apne dosto ko refer karke bhi aap bohot saare paise earn kar sakte he. Refer and Earn system sabhi log kar sakte he isme koi knowledge aur expiriance ki jarurat nehi hoti. Agar aapke paas paise nehi he ya agar aapsocial media infuencer he ya aap stock market ke bare me jyada nehi jaante he phir bhi aap apne Groww account ka referral link ko share karke paise earn kar sakte he.
Jab bhi aapka referral link se koi Groww app ko download karke usme Account create karega tab aapko aur jis person ne aapke referral link se account create kia us person ko 100/- INR apne Groww account me mill jayega. Us 100 Rupees ko aap turant bhi withdrawl kar sakte he isme koi limitation nehi he.

Aise hi aap agar aapke saare dosto ko apna Groww account ka referral link share karke unke dwara account khulwayenge to aapko aapne jitney dosto ko share kia us hisab se money mill jayega aur aapke dosto ko bhi 100 rupees mill jayenge. Bohot saare social media influencer aise hi apne referral link ko share karke rojana lakho kama rahe he. Aap bhi apne youtube channe, instagram, facebook, blog, whatsapp me apne referral link ko share karke daily good amount of money earn kar sakte he.
Is post me mene bhi apna Groww app ka referral link provide kar diya he taaki agar aapko Groww app me account kholna he to aap mere link se Groww app ko download karke account create karne me aapko bhi apke 100 rupees mill jaye. Agar aap Referral link se na jakar direct play store se Groww app ko download karke account create karenge to aap ko 100 rupees nehi milega. Sirf referral link se hi 100 rupees milta he.
NEED HELP IN OPENING ACCOUNT IN GROW WATCH THE STEP BY STEP GUIDE
Umid he ki aapko Groww app se paise kamake ki saare tarike samaj me aaye honge. Agar aap humse kuch question puchna chahte he to aap comments me jarur puchiye. Agar aap Groww account opening me koi problem face kar rahe he to bhi aap comments me apna problem likh kar bata sakte he.